I have read from one books published Shri Shyammanohar ji that as per nibhand there are five badaks to seva or situations when it seva should not be performed.
Does any know which sloka from in the Nibhand it comes from?
Posted - 08 March 2013 : 22:26:48
ShriMahaprabhu ne Siddhant Rahashya Granth me Seva me hone vale 5 pratibandh ka ullekh kiya hai. Sahaja, Desh-Kaloth, Lok-Ved, Sanyogja aur Sparshja.....Ye paach prakaar ke dosh hai, jo ShriMahaprabhu ne Apne Granth Siddhant Rashya ke 3rd Slokme kiya hai.....
Posted - 08 March 2013 : 23:09:56
ShriMahaprabhu krut Tattvarth Deep Nibandh Sarvanirnay Kaarika evam Prakash 247:
Vikshpaad Athva Shaktvya Pratibandhapi kwachhit|
Atyagrah Praveshe va Parpeedadi sambhave||
.......Nibandh 2/247
Panch Dosh jo Gruhasth ko Pooja-seva me aate hai, jiske anukalp swaroop ShriMahaprabhu Tirthparyatan ko shresth upay batlate hai..Ve paach dosh-baadhak is prakaar se hai:
1. SwataPravruttirahitani Indriyaani Balaad Bhagwati Yojyamaanaani vikshepam janayanti vigrahkarshitani.
---> Swata Sevame pravrutt nahi hoivevaari indriyanko balaatkaar so sevame lagayi jaay hai tab chhit vikshepku utpann kare. ye pratham dosh..
2. Jaraya vyadhibhir va yada shaktyabhaav:.
---> Vrudhavasthaso athva rogso seva karneki samarthya nahi rehno ye dwitiya dosh..
3. Lokova pratibandham kurvanti.
---> Parivar athva anya log sevaku nahi karve de ye trutiya dosh..
4. swasya va param aagrah: utpadhyate yen tamasi pravisto bhagvantam n smarati.
---> Ane hriday me param khoto aagrah utpann hoy jaay jaaso agyanroop andhkaarme dhasyo bhayo manushya bhagwan ko smaran nahi kare ye chaturth dosh..
5. Lokanam va peedam kuryaat hyanantra pooja tyaktvya.
---> seva karvevaro anya jivanku peeda deve lag jaay ye paachmo dosh hai.. ye paach dosh hoy taha sevako tyag karno.
Gruhasthku hu sevame paach dosh hai. ve aay jaave tab tirthatan karno shresth hai.
Edited by - govindshah2 on 11 March 2013 13:22:57